Hrishi Da has this unmatched flair of etching out characters beautifully. Each dialogue, each scene, and each character from the movie is an epic in itself.
Chupke Chupke is one of my all-time-favorites. I have listed down some of my favorite dialogues from the movie. Hope you enjoy :)
Paagalpan Ke Lakshan:
Dialogue between Dharmendra (Pyare Mohan) & Om Prakash (Jijaji/Raghavendra)
Jijaji: Aye Pyare Mohan, tum pagal ho kya?
Pyare Mohan: Nahin Saheb, ab to main bilkul pagal nahin hoon.
Jijaji: Ab to! Ab to nahin hoon ka kya matlab, pehle pagal they kya?
Pyare Mohan: Saheb log yunhi mazak mein kehte they.. lekin maine kabhi nahin maana ki main paagal hoon
Jijaji: Arey kitne din pehle kehte they?
Pyare Mohan: (Blushes).. hame lajja aati hai saheb
Jijaji: Arey bol bol. Arey nakhra chhod bol.
Pyare Mohan: Saheb, Vivaah se pehle. Lekin Vivaah ke uparaant sab yahi kehne lage hain ki mujh mein pagalpan ke koi lakshan nahin hain
Jijaji: Galat Kehte hain sab. Tum mein pagalpan ke saare lakshan hain. Pehla lakshan yeh hai ki tum bakbak bahut karte ho.
Pyare Mohan: Haan saheb, yeh dosh to mujh mein hai. Parantu saheb, chandrama mein bhi to kalank hai. Anya koi lakshan saheb?
Jijaji: Doosra lakshan ye hai ki tum ati-shudhh bhasha mein baat karte ho.
Pyare Mohan: Wo to hum aapko prasann karne ke liye karte hain.
Jijaji: Nonsense! Aise pagalpan se main prasann ho jaunga aisa sochna hi pagalpan hai.
Corolla:
Dialogue between Amitabh Bachchan (Sukumar disguised as Parimal) & Jaya Bachchan (Vasudha)
Sukumar/Parimal: Subjects kya hain aapke? Angrezi to hoga hi. Kya padhaya hai aapko?
Vasudha: Julius Ceasar
Sukumar/Parimal: Aaah! What a sublime tragedy!
Vasudha: Lekin wo sab to mujhe zabani yaad hai... Aap mujhe botany padha dijiye..mujhe ye batayiye ke.. Corolla ka function kya hai?
Sukumar/Parimal: Ohhhh Corolla!!! Corolla khane mein kadva hota hai par liver ke liye bahut achha hota hai.
Vasudha: Aap to mazaak kar rahe hain!! :D Main aapko corolla ke baare mein poochh rahi hoon..aap mujhe karela ke baare mein bata rahe hain... :D
Sukumar/Parimal: Aisa hi haiii !! Jo hai wo nahi hai.. aur jo nahi hai wo ...wo kaise ho sakta hai... Jaise jhinga machhi.. machhi hai..lekin machhi nahi jhinga hai. Jaise ghode ki barfi.. barfi hai.. lekin barfi nahi ghoda haiiii !!!
Khade Khade:
Dialogue between Dharmendra (Pyare Mohan) & Om Prakash (Jijaji/Raghavendra)
Jijaji: Aye Pyare Mohan tum wahan khade khade kya kar rahe ho?
Pyare Mohan: Khada khada kuch nahi kar raha hoon, bas aake aake khada hua hoon.
Jijaji: Ye aake aake kya hota hai? Ye do baar aake aake ka kya matlab hua?
Pyare Mohan: Saheb, jab aapne khade khade ka do baar prayog kiya to hame bahut achcha laga..bahut achcha laga. To usi chhand mein humne aake-aake kehke kavita ka ras le liya
Jijaji: To aayinda aap chhand mein baat kiya karenge
Pyare Mohan: Yadi aap anumati dein saheb
Jijaji: Hargizz nahiiii !!!
Bhasha bhrashta:
Dialogue between Usha Kiran (Sumitra), Om Prakash (Jijaji/Raghavendra) & Dharmendra (Pyare Mohan)
Sumitra: Baap re! ek lafda kehta hai, to doosra pareekshan nireekshan! Lagta hi nahi ki ek hi gaadi ki baat ho rahi hai.
Raghavendra: mm hmm Summi!!! Tumhari to bhasha hi nasht ho gayi hai bambai mein rehke.
Pyare Mohan: Nasht nahi saheb.. "Bhrasht". Kahiye bhasha bhrasht ho gayi hai. Kintu ab koi kashta nahin saheb. Tel chhanni, arthaat jise aap "oil filter" kehte hain, uska pench dheela ho gaya tha, kas diya hai, dhwani band!
Raghavendra: Sau rupaya bach gaya!!! Gaadi agar ek din ke liye bhi garage jaati to kam se kam sau rupaya bill aata. Woh bach gaye!
Ek Accident hoinga, phir pata chalinga
Dialogue between Keshto Mukherjee (James) & Naukar
Naukar: Arey James, ye aadmi koun hai
James(Keshto): Sahab ka naya driver hai
Naukar: Tum to keh rahe they ki 3-4 din lagenge, usne to ek minute mein theek kar diya. Bada kaabil aadmi lagta hai
James: Huh!! Abhi laginga!! Ek accident hoinga...phir pata chalinga
Phthisis:
Dialogue between Sharmila Tagore (Sulekha), Om Prakash (Jijaji/Raghavendra) & Dharmendra (Pyare Mohan)
Pyare Mohan: Saheb wo Phthisis ka kya hoga
Sulekha: Kiska Phthisis!!!
Jijaji: Mujhe! Keval Phthisis hi nahi saath mein Pneumonia bhi hai. Pyare Mohan!!!... Sulekha abhi abhi safar se aayi hai... tum kyun aise shabd apne muh se nikaal rahe ho
Pyare Mohan: Arthaat Saheb!! Aise shubh avsar par.. aise ashubh shabdon ka uchcharan nichay hi anuchit hai !!
Pyare Mohan ka rumaal:
Dialogue between Usha Kiran (Sumitra), Om Prakash (Jijaji/Raghavendra)
Jijaji: Tumhara naam 'Pumitra' nahin, Ratna ka naam 'Patna' nahin, Tumhari behan ka naam 'Pulekha' nahin, mera naam 'Paghavendra' nahin, agar 'Pa' se is ghar mein kisi ka naam shuru hota hai to wo hai -
Sumitra: 'Pyare Mohan'.
Jijaji: Haan!!!
Sumitra: Main kuchh samjhi nahi, rumaal agar Pyare ka hua to kya hua.
Jijaji: Ye rumaal mujhe tumhari behan ke kamre ke samne se mila
Sumitra: Oh Maa!.. Wo wahan kaise pahuncha.
Jijaji: Rumaal ko wahaan aate to maine nahi dekha. Par Pyare Mohan ko wahan se chupke chupke jaate zaroor dekha tha.
Pyare Mohan ki Patni:
Dialogue between Dharmendra (Pyare Mohan) & Om Prakash (Jijaji/Raghavendra)
Jijaji: Aye Pyare Mohan... ye achanak tumhari patni kahan se aa gayi?
Pyare Mohan: Ilahabad se saheb
Jijaji: Main jagah nahi poochh raha hoon. Poochh raha hoon ki aayi kahan se. Tum to kehte they ki tum akele ho
Pyare Mohan: Kya karte saheb! Hum yahan bambai mein.. uuu wahan ilahabad mein.. yahi soch kar mann ko shant kar lete they ki hum vivahit hain hi nahi. Parantu aaj Sulekha ji aayi hain.. to achanak mann mein vivahit hone ki bhavna jagrit ho uthi.